Hello Dosto sabse pehle hum apko Google ki Tez app ke bare batynge jisse aap online sabhi tarah ke kaam kar sakte ho. yah app paytm ki tarah hi apka time aur paise bachati hai. Google Tez ke sath Online payment world me entry kari thi. Tez app ki suruvat October 27, 2017 me hui aur uske launch ke sath hi tez ne 8 lack ke kareb installations karva liye the jisse pta lagta hai ki tez ko bahut se logo ne pasand kiya tha. Lekin August 28, 2018 ko google ne tez ko dusre naam se market me launch kar diya. Is article me hum apko Google Tez App kya hai aur Google Pay App details in Hindi me batynge taki aap bhi kisi ko bhi paise apne mobile se bhej sake.
Apko bata de ki Tez or Google pay ek hi app hai isme sirf naam ka farak h isliye aap in sabme confuse na ho aur iske fayado ke bare me soche.
Google Pay bhi digital wallet ki tarah UPI par kaam karta hai jisse aap apne Account ko direct link karke mobile recharge , shopping yani har tarah ki internet se judi payment kar sakte ho.
Google Tez App kya hai / Tez App kya hai in Hindi
Agar asan bhasha me baat ki jaye to Google tez ek mobile app hai jisse aap apne mobile me download karke kisi ko bhi rupee bhej sakte ho uske liye apko bank jane ki jarurt nahi hogi aur iske sath sath aap apne online payment bhi kar sakte hai.
Tez app bhi UPI payment ki madad se apkse paise ko ek jagah se dusri jagah bhejta hai aur ye sab karne me kuch hi minto ka time lagta hai. Tez ki tarah ki market me aur bhi payment App mojud hai jase BHIM, SBI Buddy, Phonepe, Paytm.
Google Tez ko aane me bahut time lag gaya kyoki notebandi ke time hi bahut si payment app ne apni padth banva li thi. Tez app me kuch aise feature hai jo apko kisi aur phone me nahi milenge.
Download Tez App/Google Pay App
Tez app ko aap android aur apple dono tarah ke phono me install kar sakte hai. uske liye aap niche diye link par click karke download kare.
Tez App features in Hindi / Google Pay App features in Hindi
Google pay ka ye feature sabse mast feature hai iski madad se aap apne pass kisi bhi google pay user ko payment kar sakte ho uske liye apko kuch bhi share karne ki jarurt nahi hogi.
Is feature me ek user ko send option select karna hoga aur dusre user ko receive ka button select karna hoga. ye feature ultrasonic frequency sound ka istemaal karke apke pass user ko pechanta hai.
Tez Cash Mode
Ye feature Google pay ko khas banata hai
UPI support
Google pay puri tarah se UPI ko support karta hai.
Payment through Account number and IFSC Code
Bank Account number or IFSC code ka istemaal karke aap payment le ya de sakte hai. uske liye apko IFSC code aur Bank account detail sahi deni hongi.
Payment through QR code
Google pay me aap paytm ki tarah QR code ko scan karke bhi payment kar sakte hai.
Payment through Mobile Number
Google pay se aap direct mobile number par bhi payment kar sakte hai. uske liye dusre admi ko bhi Google pay setup hona chahiye tabhi aap usko uske mobile number se payment kar sakte hai.
Google Security
Google hamesha apni security ke liye jana jata hai aur vahi aapko is app me milta hai. aap google pay app ko apne pin ke sath block kar sakte hai. taki sirf aap hi apne aap ko run kar sake koi aur aap ko use na kar sake.
Multiple Bank Account Support
Google pay app se aap apne kitne bhi bank account ko linked kar sakte hai
Bill Payment Feature
Google pay me ab aap bahut tarah ke bill pay kar sakte hai. Google pay App se aap Electricity Bill Payment, Gas Online Bill payment, , Bajaj Auto Finance EMI,Postpaid Mobile Bill Payment, Water Bill, Isurance Bill aur bhi bahut tarah se bill pay kar sakte hai.
Chat Support
Google pay me aap whatsapp ki tarah chat bhi kar sakte hai. jase agar apko kisi ko payment send karni hai to aap usse pehle aap uske sath chat par baat kar sakte hai ki uski detail sahi h na jo vo send kar raha hai.
Credit Card Bill Payment
Google Pay se ab aap Apna Credit card ka bill bhi bhar sakte hai aur uske liye apko bank jane ki jarurat nahi hogi.
Tez Reward
Aap bhi meri tarah reward point kama sakte hai uske liye apko sirf apne dosto ko is new app ke bare mer bata hoga aur apna referal code unke sath share karna hoga.
Agar aap ye soch rahe hai ki google pay par cashback milta hai ya nahi to aap mere diye huve photo ko dekh sakte hai to apko pta chal jayega ki mujhe kitna cashback mila hai.
Google pay me Bank Account kase add kare
Step 1:
Account me add karne ke liye apko sabse pehle Google pay ki main scren par aana hoga.
Step 2: Ab apko Setting ke option par click karna hoga.
Step 3: Is step me apko bank par click karna hoga
Step 4: Ab apko Add bank account par click karna hoga jisse apko apna bank account Google pay ke anadar add kar paynge.
is step ke baad apko apne mobile number par ek code ayega aur apka bank verify ho jayega. Bank ko verify karne ke baad apko apna ATM ka debit card ki detail bhi dalni hongi jisse apka ATM pin verify ho jayega
Ab apko apna ek 4 digit ka ek pin generate karna hoga jisse aap apne se kisi bhi tarah ki tranaction kar sakte hai. Upper diye huve method se aap Kisi bhi bank ko apne tez app me add kar sakte hai.
Conclusion:
Mujhe lagta hai ki mene apko achi tarah se bta diya kya Google Tez App kya hai aur Google pay app bhi same chez hai. agar phir bhi apko koi preshani ho to humne comment me jarur batye.
Also Read:
Contents
- Google Tez App kya hai / Tez App kya hai in Hindi
- Download Tez App/Google Pay App
- Tez App features in Hindi / Google Pay App features in Hindi
- Tez Cash Mode
- UPI support
- Payment through Account number and IFSC Code
- Payment through QR code
- Payment through Mobile Number
- Google Security
- Multiple Bank Account Support
- Bill Payment Feature
- Chat Support
- Credit Card Bill Payment
- Tez Reward
- Google pay me Bank Account kase add kare
- Conclusion: