Gmail id kaise Banaye Ya Phir Email id Kaise Banate Hai

5 MINS READ

Hello dosto aap me apke sath ek important topic share karna chahta hu jiska naam hai Email id. Email id bahut hi jaruri hoti kyoki aaj kal har kisi form me apne dekha hoga ki email id ka option diya jata hai. Email id ka use sabse jyada offices me hota h kyoki iski madad se koi bhi kisi ko bhi koi msg de sakta hai aur uske liye usse koi rupee dene ki jarurt nahi hai. Aaj ke digital world me sab kuch jaldi jaldi hota hai vase hi email id bhi kuch hi second me duniya ke ek kone se dusre kone me ja sakta hai.

 

 

Samay ke sath cheezo ka vikas hota rahta hai vase hi letter, chithi ki jagah ab email id ne li hai kyoki ye chithi se har tarah behtar hai. ayiye jante hai Email id kya hoti hai aur isko kase banate hai taki aap bhi online duniya ke sath jud sakte hai.

Gmail id kaise Banaye

Email id Kya hoti Hai

Email ko banane se pehle me apko ye batana chaunga ki Email ID kya hoti hai. iska Pura naam hota h Electronic Mail yani internet ka mail (mail ka matlab message hota desi bhasa me).

Email ki madad se hum koi bhi message ya phir koi data ek jagah se dusri jagah bhej sakte hai.

Email id bhi jaise daakh kaam karti thi vase hi kaam karta hai. daakh ke liye hum apna message likhte phir ek lifafe me dalte the aur uske upper bhejne vale ka naam aur jisko bhejna h uska naam likhte the phir dakiya usko deliver karta tha. Kuch hadd tak email bhi vase hi kaam karta hai.

sabse pehle hamme bhejne vale ka email address ya email id chahiye aur phir apna email id ye do cheez bahut jaruri hai kyoki iske bina aap kisi ko mail nahi bhej paynge.

Email id Kab se start hui

Jab internet ki aag tezi se badh rahi thi tabhi is email naam ka ujagar huva. apko jankar ye kushi hogi ki  ek indian sabeer Bhatia ne email address ki khoj ki uska naam Hotmail tha. jisko sabeer batia ne Microsoft company ko beach diya tha jo ki ab outlook ke naam se jana jata hai.

Apko me bata du ki Gmail, yahoomail ye sab alag alag company ke naam hai jo hamme email id baane ke liye ek platform ya phir ek website dete hai jiska upyog karke hum email address bana sakte hai.

 

Also Read:

Important Question related to Email Address:

1. kis year me email address ki shuruat hui

Ans: 1960 year me email address ki shuruat hui Thi.

2. retype email address me kya likha jata hai

Ans: Retype email address ka matlab hota hai ki jo email apne upper daala hai vahi dubara bhi dalana hoga. aisa isliye kaha jata hai kyoki agar apne pehle email galat daal diya to dubara

3. ek email address do logo ka ho sakta hai kya

Ans: ek email address ek tarah se apka personal phone ki tarah hota h jisme apki sari detail hoti hai lekin agar aap chahiye ki vo koi apna padhna chahiye to padh sakta lekin aap 2 email bhi bana sakte hai kyoki email banane ka koi charge nahi lagta. lekin agar aap apni company ka email address h to aap kitni bhi log 1 email address ko use kar sakte hai.

 

4. email address us me kya likhte hai hame details chaiya

Jaisa hi hamne apko bataya email address me apko apni email id dalni hoti jisse vo website ya koi apko contact kar sake aur dubara apke sath jud sake.

 

Gmail id kaise Banaye ya Email id Kase Banaye

 

Gmail ek service google.com ki service jiski madad se hum email id ya email address create kar sakte hai. iske liye apko Gmail.com kolna hoga browser par. agar kisi aur website se email address banana chahte hai to us website par jake vo site open kare.  Agar direct hindi vala gmail ka link par click karna chahte hai to yaha par click kare

Step 1 Open Gmail.com

gmail id kaise banaye

 

Step 2: khata banane par click kare

Gmail id kaise Banaye Ya Phir Email id Kaise Banate Hai 1

 

Step 3: Apni detail fill kare yaha

Gmail id kaise Banaye

 

is form me apko 5 cheeje fill karni hai uske baad apki email id ban jayegi.

  1. yaha apko apna naam dalna hoga.
  2. yaha apko apna surname dalna hoga.
  3. ye apko bharne me dikat ho sakti kyoki jyadatar sabhi naam jo aap daloge vo pehle se hi dale honge iska matlab ye hai ki kisi aur ne bahut pehle hi isi naam se ye email id bana li hai to apko koi aur naam sochna hoga.
  4. yaha koi bhi password dalna hoga jo aap hamesa yaad rakh sake.
  5. yaha dubara se password dalna hoga

 

 

Ye apka last step hai iske baad apki email id ban jayegi. agar apko kisi bhi tarah ki koi dikat ho to aap hamme comment me bata de taki hum apki puri madad kar sake.

 

 

Written by

Romi Sharma

I love to write on humhindi.inYou can Download Ganesha, Sai Baba, Lord Shiva & Other Indian God Images

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.