How to Use Paytm in Hindi ? Paytm कैसे Use करे

4 MINS READ

Hello Dosto aaj ke article me apko Paytm ki puri jankari dunga jisse apko ye pat lagega ki Paytm Kya hai aur usko kase use karte ho. Paytm ka pura naam Pay Through Mobile hai. Apko bta du kya ye paytm ek company nahi hai ye ek brand hai jo One97 Communication Limited ke dawara manage kiye jata hai. Vijay Shekar sharma ne  One97 Communication Limited company ki suru ki thi.  Paytm ki suruvar August 2010 me  $2 million ke sath  NOIDA me kiya tha. Agar aap How to Use Paytm in Hindi me janana chahte hai to niche diye article ko achi tarah se padhe taki apko account banane me koi dikat ka samna na karna padte.

 

agar aasan bhasa me dekha jaye to Paytm ek mobile application ya ek mobile ka software hai jiski madad se aap apna Mobile recharge , Movie ticket , shopping aur bhi bahut tarah ke kaam ghar baithe is mobile app se kar sakte hai.How to Use Paytm in hindi

Paytm ke suruvati deno me aap sirf online recharge jasie kaam kar sakte the lekin 2010 se 2018 tak aate ate Paytm ne bahut se service add kar di hai jinki puri jankari me niche de raha hu.

 

  • Paytm Wallet

Paytm Wallet ek wallet ki tarah hi kaam karta hai kyoki jase hum apne wallet me paise dalte hai vase hi paytm wallet me apne bank account se paise daal sakte hai aur un paiso se kisi mobile recharge kar sakte hai ya phir online kisi ko bhi piase bhej sakte hai.

  • Paytm UPI

Paytm UPI ki full form hoti hai Unified Payment Interface . isse aap apne account se direct kisi bhi account me paise transfer kar sakte hai ya phir kisi se paise mangva bhi sakte hai. aur ye sab kuch hi minto me ho jata hai.

 

  • Paytm Bank

Paytm Bank bhi aur banko ki tarah apko saving account par byaj bhi deta hai . Paytm bank ko RBI se bank kholne ki permission mil gayi hai to ab aap apna account khol sakte hai vo bhi online.

  • Paytm Mall

Paytm Mall ek tarah se amazon or flipkart ki tarah kaam karta hai yaha par apko apne jarurt ke hisab se har tarah ki cheze mil sakti hai jinko aap apne paytm wallet se order kar sakte hai.

  • Paytm Money

Paytm money ke jariye aap SIP matlab Mutual fund me invest kar sakte hai. jiske liye apko kahi aur jane ki jarurat nahi hogi.

paytm ne notebandi me logo ki bahut madad ki thi shyad usi ke karan paytm ne bahut popularity hasil ki thi. usi ki vajah se aaj paytm ne baki sabhi apps ko bahut pichle chod diya hao.

 

Paytm ko Kase Use Kare – paytm को कैसे इस्तेमाल करे।

Paytm ko use karne ke liye aap paytm ko apne phone me download  kar sakte hai ya phir direct apne phone browser me Paytm.com khol sakte hai.

Agar apke pass apna mobile hai to aap Paytm ki app download kar le vo apke liye bahut acha hoga kyoko apko baar baar login ya log out karna nahi padega.

Bahut Jaruri Paytm se related Question

Q1. aisa konsa android system h jo paytm ko support karta h

Ans: Android har version par paytm ki app asani se download aur install ho sakti hai.

 

Paytm Android App me Account kase Banaye

Step 1: App ko apne Mobile me download kare Yaha Se

Step 2: Download karne ke baad smile vale account par click kare. Aap apne mobile par do ek baar hi paytm ko download kar sakte hai kyoki ek baar download hone ke baad aap dubara download nahi kar paynge.

How to Use Paytm in Hindi ? Paytm कैसे Use करे 1

 

Step 3:  Ab apko apna new account create karna hoga jis account se aap apni sari detail karnge.How to Use Paytm in Hindi ? Paytm कैसे Use करे 2

 

Step 4:  Ab apko apna mobile number dale aur ek strong password use kare.

How to Use Paytm in Hindi ? Paytm कैसे Use करे 3

Step 5: Ab apke mobile par OTP ayega usko dale aur apne account ko approve karvaye.

How to Use Paytm in Hindi ? Paytm कैसे Use करे 4

 

Step 6: Ab apko baki detail deni hongi jisse apni sari detail paytm ke pass update ho jaynge. aur aap paytm ki sari services ko use kar sakte hai.

How to Use Paytm in Hindi ? Paytm कैसे Use करे 5

 

 

CONCLUSION

How to Use Paytm in Hindi ka article apko kaisa laga agar apko koi aur bhi problem hai jo hamare article se nahi solve hui h to please hamme comment karke jarur batye.

 

Also Read:

 

Written by

Romi Sharma

I love to write on humhindi.inYou can Download Ganesha, Sai Baba, Lord Shiva & Other Indian God Images

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.